Ghazal se lekar, Qawwal tak 🎶
Dastaan E Safar, Manzil tak 💙
Mehfil e Shayari, kuch yun Zaya kare
Kuch tum bayan karo, kuch hum bayan kare.
Alfaaz E Shayari me jinka Zikr nahi,
Unhi se hai ye Shayar, 💫
Aur Unhi se ye Shayari 🌙
Qadamo ki kya majaal saansein bhi theher jaaye,
Deedar ki baat nahi, bas parchhayi nazar aaye.
Nazro ki ye Khwahish, Hairat se Nazar aaye
Beshaq mile Kinara, par Samundar bhi Nazar aaye
Banjar ghar me bhi seher ho jaaye,
Agar sham e mehfil me Ghazal ho jaaye
Geet kayi base hai dilo mein
Tum Ghazal banna mehfilo mein
Chalti hai Raahe, to chalne do Raah ye..
Musafir se na puchho ki, Raah E Manzil kya hai 💫
Raah pe tumhari intehan si rit hogi,
Aur hum chale to hamari hi jeet hogi✨
Ek daur bit gaya unki yaadon ke sahare,
Ek ek pal kaise bita hoga ye wo kya jaane.
Muskurahat jo chali gayi
Aapke jaane se,
Phir aati nahi wo
Muskurakar 🖤
Tasveer ko khud ki
Aankho me sajane wale
Ik tasveer to rakh hamari
Bas Man behlane ke liye
Me Ruk jau, to Safar aasan ho jayega
Magar isse meri Sabar ka Qatl ho jayega
Aasman tale Chand,
Aur aangan me ho tum
Tumse badhkar Chand,
Ya Chand ho tum
Bin dekhe bhi mehsoos hua tu
Dekha jo maine aaine me
Bin deedar bhi dekh liya tumhe
Dekha jo meri aankho me
Dua mangi thi jannat ki
Bas ik hi to mannat thi
Lakho haseen jamane me
Magar chaahat sirf sohbat ki
Khwab ki duniya yuhi nahi haseen hai,
Hasil karenge manzil, hame khud pe yakeen hai
Raah wahi, safar wahi
Jo man chahe, manzil wahi
SunRise ka deedar na kar paye to Kya khata,
SunShine ke to Rubaru rahenge hum
Fikr dosti ki hoti to bhool jate
Magar zikr taa-umar dosti ka tha.
Kehne ko to hai hazaro lafz
Magar khamosh rehte hai
Dilnashin hum ik ghazal se
Lakho jazbaat baya karte hai 💫
Sawaal kayi hai, Jawab kayi hai
Jo aap samajh na paye,
Ha hum wahi hai✨
Bhool ke beeti baate
Phir deedar e ishq karte hai,
Hum phir tabah hona chahte hai
Lafz jo dil se na nikle
Wo alfaaz kaisa
Shayari jo khud na likhe
Wo shayar kaisa
Alfaaz e khas hum kam bayan karte hai
Jo dil ko chuu jaye wo lafz dhundha karte hai
Aur yun hi nahi dohrate hum apne jazbaat
Hum apne Shayar e Alfaaz sirf unke naam adah karte hai
Nighahon ke ishaare
Bahot kuch keh gaye
Aap hi bata dijiye hame
Jo hum na keh paye
Chal ek baar phir shuruat shuny se kare,
Jo bhi paap kiye unka ant puny se kare.
Yaar jab bhi hamne aapki exam lene ki koshish ki,
Aapne to hame hi fail kar diya
Phool koi bhi ho, Asli hona chahiye 🌺
Nakli gulab se hame vasta nahi
Ache chehre ka lobh rakhne wale,
Aksar ache dil ka labh kho bethte hai
Sach bolo ya phir
Chup raho,
Jhuth ki janzeer se
Dur raho
Nazare bayan karti hai khoobsurati,
Har chehra wafadar nahi hota
Lafzo ko chupake rakhiye,
yudhh ko daawat na dijiye
Wafa e dar pe tashrif rakhi hai
Phir taklif se kya darna
Me thehra urdu ki kitaab sa,
Padhne se nahi samjne se samaj aaunga !!
Me thehra urdu ki kitaab sa,
Padhna mat, Magar samajhna Zaroor !!
Nazariya aapka Nazar aapki,
Achchhai burai dono hai mujhme,
Aap kya parakhte hai
Ye marzi aapki
Mehnat e talab ab hai
To mukammal kal hai!!
Mustaqil se inayat karne ke liye,
Khud ko mukhtalif banana padta hai
Talaste hai Manzil Badi shiddat se
Yun haar nahi maante hum Nasib se
Suffer in English is miles away,
Safar in Urdu is life's way💙
Gumnaam chehre me kayi alfaaz chhupe hai
Zara gaur to kijiye yahan kayi raaz chhupe hai
Rab se hath jode
Palko pe sapne liye,
Ladke mangte hai dua
Kisi aur ke liye
Safar ki Raah taklif Zaroor deti hai
Magar bin dare date rehne se
Manzil Tashrif bhi yahi rakhti hai
Chehre se sundar nahi, magar dil se saaf hai
Aap lakh sitam rakhiye, hame khudpe naaz hai
Jaane kyu log pareshan kiya karte hai,
Jinpe hum Ehsaaan kiya karte hai
Nazaro me dhuan har waqt karwate lata hai,
Asal me ye aapki junooniyat talashta hai
Chahe lakh koshish kare zamana
Fitrat me nahi likha badalna hamara
safar kee khoobsooratee se khairiyat hai ham,
toofaan ke deedaar se ham fitarat nahin badalenge
kya dooriyaan kya Fansale,
Safar se hi milati hai manzile
bin deedaar bhee hame badalana nahee aata hai
saphar ka har ek raasta sirph vahee jaata hai
ik saadagee kee kaabiliyat ne hame jinda rakha hai
aitabaar bin bhee rab, khuda aur bhagavaan se sirph unhen maanga hai
pahar badal gae, shahar badal gae
saal beet gae, chaahe jindagee beet jae
ik khvaish kee aas mein
ham na badal pae❤
ik pal mein chaah dikhaana
ik pal mein raah dikhaana
hame aata nahee hai yoo
pal pal mein rang badalana
phoolo ka mahakana jarooree to nahin,
unakee mehak phoolo se behatar hai
koee hamadam na raha, koee sahaara na raha
ham kiseeke na rahe, koee hamaara na raha
rab kee kuchh to saajish hogee unase milaane ki,
yunhi to hame unake khayaal nahin aate hoge!
kabhi to milan kara de us shahar se e khuda,
bin deedaar, jisaka jikr har pahar hota hai
mehanat karake haar bhee hame manjoor hai,
bin mehanat kee jeet se hame vajood nahin!!!
hindi mein prateeksha karate hai, urdoo mein intajaar karate hai,
chaahe laakh haseen chehare hee kyoo na aa jae,
ham to sirph unase aitabaar karate hai !
beshaq aap naseeb mein nahin,
lekin bin lade haar maanale
ye hamaare khoon mein nahin
ye nazare kahee nahee rookatee hai
vo abhee bhee yahee thaharatee hai
sapnon ke shehar, is shehar se to nahee hai
phir bhee mehanat kee leher, har pehar hai!
dostee ka bhee ek matalab hota hai
jo isame matalab rakhe, vo dost nahin hota hai
ya to jeet milatee hai ya sikh milatee hai
mehanat kabhee paanee mein nahin milatee hai!
Jiske har ek alfaaz samajte ho
Kya woo tumhe samajte hai!!!
Deedar e shakhs kuch aise ho jaaye
Nazar bhi na lage aur
Unse Nazar bhi mil jaye
Zamane se nahi koi shikva
Agar mil jaye koi apna
Zindagi ko chahiye Khwaab
Ya hai Khwaab hi Zindagi
Ik hi Shakhs se Aadab
Aur Sirf wahi Zindagi
Nazro ke darmiyan lakho guzre
Magar Chehra Koi haseen nahi
Fisal gaye hum jinki zulfon me
Fanna hai hum un raahon me
Dhundh rahe the jise kaynat me
Wo thehar gaye hamari Nazro me..
Itne bhi Dard na de Ae Zindagi
Ki Hum Jeena hi bhool jaye
Maana ki thoda jyada hi Haste hai hum
Iska matlab ye to nahi ki bura nahi lagta hame!
Bich samundar se kahi dur Kinara dikh raha hai
Jaise is besahara ko Tera Sahara dikh raha hai
Aitbaar na karna Ghalib tum Gair se
Yaha to apne bhi iske Kaabil nahi
Lakho chehre ke mohtaaz nahi hum,
Wafa unse hi hogi jinse Deedar nahi hota
Khwaish uski nahi jo Paas hai,
Khwaish uski hai jo Khaas hai
Kuch is Andaaz mili Nazar unse,
ki baki sab Nazar-Andaaz ho gaya.
Kalpnik vicharo se bahar niklo
Vastvik jeevan badal jayega
Aaj ki duniya me log
Haqeeqat nahi dekhte
Jo jhutha dikhaya jaata hai
Use Haqeeqat samajte hai
Guzarish me unki sifarish hai chupi,
Kabhi hamari Nazro se dekho, to dikhai degi
Wo baat alag thi, Wo Noor alag tha
Wo Jazbaat wahi hai, Sirf Daur alag hai
Sifarish ki aas me,
Guzarish nahi badalte .
Shikayat ki puri list tayyar ki thi humne,
Aapne ik lafz se list ko hi Blocklist kar diya
Tum khafa khafa rehte ho,
Kuch umeed jagao wafa ki,
Hum apni zindagi qurban karenge,
Tum qeemat batao muskurahat ki
Samjho to nastik,
samjho to har dharm me aastik hu
Samajh samajh ke hi to samjha me,
Ki Dharm se me insaan hu
Dikhave karne se jhuthi kahani,
sach sabit nahi hoti.
Jinhe duniya sach maanti ho,
unhe dikhave ki zaroorat nahi padti hai
I'll rate your smile -43/100, You can add 143 to fix it.
Chehra jaise qamar, Chehra rashk-e-qamar
Chehra jaise jahan, chehra jaan-e-jahan
chehra dikhta jaha, me hu bas waha
Chehra bin-dekh guzarta, na ik pal yaha
Chehra jaise pahar, Chehra sham-o-sehar
Chehra jaise dawa, Chehra jaise zeher
Chehra jaise alfaaz, Chehra jaise ki taaz
Chehra chup sa magar kehta dhero raaz
Chehra jaise ki dil, chehra hai haal-e-dil
Chehra jaise manzil, chehra raah-e-manzil
Chehra kehta kahani, dil.... ki zubani
Har dafa Har ghadi har samay har kahi,
Chehra aisa ki mayassar koi sabrrrr
Chehra jaise Shayar, Alfaaz ankhe magar
Chehra jaise chaahat, Chehra dard e rahat
Chehra unka hai ya koi ujhli kiran,
zamaye... nazar, Chehra aisa daaman
Chehra jaise junoon, Chehra jaise fitoor
Chehra jaise khumar, Chehra jaise nasha
Chehra jaise ki har ik rago me basha
Chehra jaise mohobbat ka ehsaas ho
Chehra jaise adhuri si ik aas ho
Chehra unka jaise koi khaas ho
Chehra aisa ki Sehra mere Paas ho
Dilnashin dilnashin har ghadi har kahi...
Husn e jaana ki taarif mumkin nahi
Afreen afreen afreen (2)
Koi kaise, unhe ye samjhaye
Sajan ji ke man me, abhi bhi pyaar hai
Jaane sajni ko, kyuuuuu inkaar hai (2)
Khuda jaane, unke hi bahane
Hum hai aate jaate dar par hai
Jaane phir bhi, unhe kyu inkaar hai
Baalo ko jaise, dil hai sajana
nazre milake, yu muskurana
Kab tak chupana, Kab tak chupana
Humko to ab hai, sirf tumko paana
Jaane kaise unhe ye bataye
Khamoshiyan ke bheetar bhi to awaz hai
Sun na paye,Hamara kya dosh hai
Koi kaise, unhe ye samjhaye
Sajan ji ke man me, abhi bhi pyaar hai
Jaane sajni ko, kyuuuuu inkaar hai (2)
noor e fasana, noor e jahan aa
dil ka hai tumse risht purana
sapno me aana aur reh jaana
ishq ke shehar me deedar karna
na bhool jaana, na bhool jaana
ik tha deewana, ik hai deewana
Koi kaise, unhe ye samjhaye
Sajan ji ke man me, abhi bhi pyaar hai
Jaane sajni ko, kyuuuuu inkaar hai (2)